par woh acchi hai ya nahi yeh faisla kaun kare
yahi soch ke ruk jata hun..
padhi hai maine bahut sari acchi kahanaiyan
par likhna alag baat hai
bahut sare dost mere aksar kuch anab sanab likh kar kehte hai..
dekho, issi kehte hai kahani..
meri sabse pukhta aur majboot kahani hai..
are bhai tum kaise iss baat ka faisla kar sakte ho, ki yeh kahani badhiya hai..
yeh toh padhne wale, ya sunne wale hi tay karenge..
hai ki nahi .. aap hi bataye..
par mai yeh jokham nahi lena chahta
mai aachi kahani likhna chahta hun..
joki sabko acchi hi lage
koi kasar na rahe ki woh unnis bees bhi ho..
toh kya karu mai..
kaise likhun ek kahani jo nishchit hi acchi ho..
abhi tak toh koi upay nahi mila hai
issiliye mere samne yeh panna kora pada hai
jab tak nahi mil jati koi acchi kahani ise kora hi rakhunga..
nahi lena chahta mai koi jokahm
ki mujhe sunna pade logon se ki thik thak ya buri kahani likhta hai..
thahar sakta hun mai thodi der aur ..
shyad saat pratishat ek acchi kahani mil jaye..
kyunki mai toh sirf, acchi kahani likhna chata hun..
chahe reh jaye sare panne khali, chahe poori ho jaye mere saason ki ginti
main toh ek acchi kahani likhna chahta hun..
-SA
No comments:
Post a Comment