Samajh nahi aate mujhe..
Aaj fala din hai hai;
Toh uss bare mei soch kar khush ho jao
Badhaiya do..
Waise hi aaj sab se sunn raha hun
Ki aaj Father's day hai..
Har taraf log bata rahe hai ki kaise unke pitaah unke liye kya mayne rakhte hai..
Mere dil mei bhi aaya ki mai likhun kuch..
Par phir socha jane do..
Yeh angrezon ke banaye dinon se humei kya..
Mai toh kai baar apne acche doston ko unki janamdin ki badhai bhi nahi deta..
Na ummed rakhta hun ki woh mujhe de..
Aur Mere dil mei kya hai ab yeh kya batana papa ko.. unhe pata hai..
Par phir bhi pata nahi kyun dil mei aaya kuch likhun..
Abhi kavita jaisi cheez likh raha hun toh thoda toh nakli lagega..
Par aaj iss din bas yahi kehna chahte hun...
Har roz subah uthe aksar apne bare mei sochta hun..
Saal ke dus mahine, jis kaam mei mai hun;
Hara hua sa mehsoos karta hun..
Na kamane ka thikna, na kaam ka kuch aata pata. .
Par jab bhi soch mei papa aate hai toh yeh khayal dil se nikal jata hai..
Ab hara hua nahi mehsoos hota..
Aaj tak agar andhere mei daud raha hun
Toh unke iss viswas ke saath ke aage roshni dikhegi..
Beta daudte rahna.. humesha kehte hai..
Pahle unki har baat galat nazar aayi
Lagta ki woh mujhe samajhte nahi hai..
Par kaise ise jhuthlaun ki zyadatar baatein unki sahi nikli..
Kuch baatein sunn li hoti toh accha hota..
Jo bhi aage ho, duniya ki nazar mei jeet paun ya nahi..
Par apni nazar mei jeeta hi rahunga..
Kyunki unki nazar mujhe hara nahi mehsoos hone deti.
- Sonu Anand