Aankh nam aur yeh gham..
Aksar dikh jate hai
Kisi ki aankhon mei
Kisi ki sareer par
Yeh gham ke saaye
Akele akele khade kabhi
Kone mei dubke bhi dekhe hai yeh saaye
Chalte chalte jhuke sirr bhi jataa te hai
ki yeh saaye..
hai yahi kahi aas pass.
Aksar socha hai maine
Pooch lun ki kaun ho tum.. kya hua tumhei,
Par anjano se kaise pooche.. unke dil ki baatein
Toh har baar nazar padne par nazar andaz kiya maine
Yeh jo gham ke tere badal hai..
Yeh aate jate hai
tum hairan mat ho
tum pareshan mat ho
Tapke kuch boond toh tapakne do..
Barse dard ki fuhare toh barasne do
Badalenge din
Hoga aasman neela phir ek din
Adla badli hogi gham ki
Adla badli hogi muskurahat ki bhi
Jo aaj hai woh kal nahi hoga
Jo nahi hai woh hoga kabhi
Ek si nahi rehti tabiyat humari
Ek si nahi milti aashiqui humei
Ek si nahi hoti saajish yaha
Ek si nahi hogi kismat tumhari
Aankh nam aur yeh gham
Dikh jate hai kabhi kabhi
Mujhe Aaine mei bhi..
- SA
No comments:
Post a Comment