30 August, 2011

Shoonya

Life


What do I say in language that’s not my mother tongue. I have to because this language is ruling the world. My laptop doesn’t support my language my mother tongue Hindi. No I will not speak in the language that is my country’s official language. The reason being I’m not doing any official work. Infact, there is no official work for me.

Jeewan

Kya kahu main apne bare mein. Kya kehna chahta hu main… Kyu likh raha hu main…

Kyu zarurat padi mujhe mere apnee bhasha ki jise bhi main roman lipi main likh raha hu… laptop pe likhne ke baad aage ki baat apne diary mein Devnagri mein likhunga….

Pareshani….

Apne sapney ke peeche bhaagne se hone wali ….

Apne mann ki karne ke karan hone wali…

Apne dil ki sunne ke karan hone wali…

Apne alaash aur laparwahi ke karan hone wali..

Apne aazadi ki keemat chukane wali….

Apne tareeke, apne mutabik, apne hisaab se chalene ke karan hone wali…



Inn pareshanon se bachne ka kya; kya upaye hai…

Malum hai mujhe…

Inn saab ka bas ek hi upay hai….

Bina dare bas dil ki suno aur chalte raho….

Jeyo bas jeene ke liye,

saans lo aage badho, bas jeeyo, bina kisi umeed ke, bina kisi mapdand ke, bas chalo chalen ke liye….

Aasan hai kitna kehne…

Aasan kitna hai yeh sab padhna..

Aasan hai kitna yeh sab likhna

Aasan kitna hai yeh dusro ko batana

Aasan hai kitna uss bare mein sochna

Aasan kitna hai khwab mein apne ko waisa dekhna jaisa hum hona chahte hai..

Mushkil hai amaal karna..

Yehi hai pareshani …

Pareshani yehi hai meri..

Ki main jeena chahta hu bas jeene ke iye…

Chalna chahta hu bas chale ke liye..

Saas lena chahta hu bas saas lene ke liye…

Koi karan nahi chahta main apne hone ki

Karan zaruri nahi mere liye….

Kyunki karan hi saab kuch nahi hota …

Saab kuch; kuch nahi hota…

Main shoonya hona chahta hu…

Main shoonya hu aur wahi rehna chahta hu…

- Shoonya ( Sonu Anand)








No comments:

33 Dream Cafe

 I am Supposed to be writing a script for a feature film right now.. But why am I writing this... Whatever this is. I couldn't write at ...