07 March, 2015

woh mujhe rone nahi dete!!!

aksar thak kar jab apni thakan zahir karta hun;
toh woh kehte hai," koi baat nahi.. yeh toh hona hi hai..
aadat dal lo.."

kabhi agar pyar mei chot khaon..

toh kehte hai:" yeh toh hona hi tha.. mujhe pehle hi laga tha.. "

"bhool jao.. "

Kabhi kisi bhookhe  ko dekh kar gussa aur majburi mehsoos karta to kehte..
yeh toh aisa hi rahega..
"kyu bekar mei pareshan hote ho... hone do jo ho raha hai"..

kabhi bam dhamakon se daar jata hun toh kehte hai..
"are darke kya hasil ho jayega.. ab aise hi jeena hoga"

kabhi apne kam se nirash hokar unse baat karta hun, to kehte hai
"yeh kam tumhare layak nahi,  kuch aisa karo jo tumhare bas ka ho".

kabhi bimar ho jao aur apni taklifein bayan karu toh kehte hai,
"dhairya rakho, jald theek ho jaoge.. akbakane se kya hoga.."

meri har taklif, meri har samasya, har dukh  ko nazar andaz karne ko kehte hai..

Woh mujhe rone nahi dete..

sach kahu toh, woh mujhe jeene hi nahi dete..

mere saath ho rahe wakyon ko, mehsoos nahi hone dete..

meri dabdabai  aankhon se, aansun tapakne hi nahi dete..

kya karu, woh mujhe rone hi nahi dete..

sach toh yeh hai ki, woh mujhe jeene hi nahi dete..

unki nazar mei, jeena waisa hi hoga shayad..

apne dard ko sunn karke jeena, jewan hai shayad unke liye..

nazrein pher, nazarein badal lete hai shayad..

iss haath ke choot te, dusra haath tham lete hai shayad..

inn sabse khush ho shayad..

Main khush nahi hona chahta, iss tarah..

mai har pal ko, mehsoos karna chahta hun..

dard mei chikhna chahta hun

gam mei aansun bahana chahta hun..

taklif mei tadapna chahta hun..

aur agar kabhi khushi aaye, toh  haasna bhi chahta hun..

mai insan hun..

insan ki tarah jeena chahta hun..

har kuch mehsoos karna chahta hun..

woh mujhe rone nahi dete..

arre yaar mai rona chahta hun..

-SA

No comments:

33 Dream Cafe

 I am Supposed to be writing a script for a feature film right now.. But why am I writing this... Whatever this is. I couldn't write at ...